शनिवार, 14 जुलाई 2012

Halla bol…. Huqa-paani band


Halla bol…. Huqa-paani band


Ye 20-30 gunde ..
aur ye choti moti khaap panchayaten
tumhare astitva ko chunavti nahi de sakti
tumhara astitva in se nahi
inka astitva tumse hai.
Inka saans lena bhi tumse hai.
Halla bol. Huqa-paani band .
Aurat ke samaj mein
Aaj se tum jaison ka huqqa paani band.
Koi tumhari khushu ..
tumhare maatam mein sharik nahi hoga.
Jis aurat ki abroo sare-raah uchaali hai tumne
Ab uss aurat ke saaye ko bhi tarsoge tum.
Ab koi aurat tumhare darwaze lakshmi ban ke nahi aayegi.
Sun lo khaap panchayeton
Sun lo safedposh kaale kamino.
Bina iss jeevan dayni devi ke dekhte hain
Kahan se bachega tumhara astitva.
c@anand rathore. photo courtesy- google images

शुक्रवार, 13 जुलाई 2012

Meri Aah pe waah waah sahi

Dard ko dava na mile, na sahi
Meri Aah pe waah waah sahi.

Mujhe rukna nahi bhata hai
koi manzil nahi, mujhe raah sahi. 

Din ka suraj tum rakh lo 
Mujhe mera chand aur raat syaah sahi.

Wo jhoothe begunah rahe
Mera sach gunaah sahi

Mere mitne mein hai mera banna
Main tabaah ..tabaah sahi.

c@anand rathore