रविवार, 18 मार्च 2012

शुक्रवार, 16 मार्च 2012

kabhi chai , kabhi coffee

kabhi chai , kabhi coffee
kabhi ek bublegum.. kabhi ek toffee.
aise hi shuru huya tha apna rista
table ke is paar tum uss paar main
aur beech mein cup se uthta dhuyan pyar ka
garam garam chai ke uthte dhuyen mein hum dono khoye khwab sajaya karte the
chuskiyon ki garmahat , rooh ko pighla deti thi.

tum sach bahut sundar ho.

ye kya hai...? wo kya hai?
aaj kal inhi sawalon se mera ghar goonjta hai..
hairaan aankhon ka naya tamasha din raat chalta hai.
hairat bhari nigaon se jab chand ko dekhte huye
wo mujhse poochti hai...ye kya hai?
main muskurata hoon , kahta hoon.
wo tumhari maa hai.
to kabhi wo maa ka chehra dekhti hai , kabhi chand ka.
wo bholi si muskaan liye kahti hai , sundar hai...
mujhe pata nahi , uske nanhe se dil ne kya socha ..
lekin main janta hoon,
tum sach bahut sundar ho.

मंगलवार, 13 मार्च 2012

shyad padhe likhe chasmon se dhai aksar nahi dikhta.

bahut padh likha gaye hain log
apne siwa kuch nahi dikhta

shyad padhe likhe chasmon se
dhai aksar nahi dikhta.

thandhe ho gaye hain dil... romaniyat mar rahi hai.
ab chand ko koi mahboba nahi kahta.

bister pe jitni jaldi jaate hain..utni jaldi utar aate hain
subah tak chehra bhi yaad nahi rahta.

nigahon ka jaadu , adaayon ki kashish
hawas ke andhon ko kuch nahi dikhta.

makaan to bana liye sabne
uss mein koi ghar nahi rakhta.

Mahfilon mein thahake har baat pe lagte hain
jaane kyun wo ghar mein nahi hansta.

bachche robot se khelte huye be-zazbaati ho rahe hain
wo apne ghar mein budhi naani nahi rakhta.

koi TV ka remote , koi akhbar , koi laptop liye
ek chat ke neeche hai lekin koi saath nahi rahta.

karobaar mein khoob riste banate hain...
zindagi mein ek bhi rista nahi tikta.

desh ke neeta vadon ki roti senkte hain
gareeb ke ghar chulah bhi nahi jalta.

qyaamat ke asraat mein main bhi jod deta hoon
qyamat nazdik hai, kisaan kheton mein khush nahi dikhta.

c@Anand Rathore

kahin wo mujh mein to nahi rahta.

wo dariya sa bahta rahta hai
jheel sa thahra nahi rahta.

uska mizaaz suhaani shaam sa hai
wo din raat sa nahi lagta .

sota nahi hai shayad raat bhar
wo bistar ki silwaton mein subah nahi milta.

main kuch nahi kahta ..wo kuch nahi kahta.
wo ajnabi , jaane kyun ajnabi nahi lagta.

har pal apni mauzudgi darz karata hai
kahin wo mujh mein to nahi rahta.
aasman kitna oncha hai
fir bhi nichi nigaah rakhta hai

tu akadta hai kyun
kya aukaat rakhta hai

andheron se dar nahi lagta
wo nazron mein aaftaab rakhta hai.

tere julm se nahi ghabrane wala..
jo dil mein inqlaab rakhta hai

Jiasa boyega , vaisa kaatega
wo sabka hisaab rakhta hai