मंगलवार, 13 मार्च 2012

shyad padhe likhe chasmon se dhai aksar nahi dikhta.

bahut padh likha gaye hain log
apne siwa kuch nahi dikhta

shyad padhe likhe chasmon se
dhai aksar nahi dikhta.

thandhe ho gaye hain dil... romaniyat mar rahi hai.
ab chand ko koi mahboba nahi kahta.

bister pe jitni jaldi jaate hain..utni jaldi utar aate hain
subah tak chehra bhi yaad nahi rahta.

nigahon ka jaadu , adaayon ki kashish
hawas ke andhon ko kuch nahi dikhta.

makaan to bana liye sabne
uss mein koi ghar nahi rakhta.

Mahfilon mein thahake har baat pe lagte hain
jaane kyun wo ghar mein nahi hansta.

bachche robot se khelte huye be-zazbaati ho rahe hain
wo apne ghar mein budhi naani nahi rakhta.

koi TV ka remote , koi akhbar , koi laptop liye
ek chat ke neeche hai lekin koi saath nahi rahta.

karobaar mein khoob riste banate hain...
zindagi mein ek bhi rista nahi tikta.

desh ke neeta vadon ki roti senkte hain
gareeb ke ghar chulah bhi nahi jalta.

qyaamat ke asraat mein main bhi jod deta hoon
qyamat nazdik hai, kisaan kheton mein khush nahi dikhta.

c@Anand Rathore

3 टिप्‍पणियां: