गुरुवार, 3 दिसंबर 2009

akela hi sahi

main muskurahat failane wali jaat ka hoon
kabhi rounga nahi.....
main jeet ka parcham lahrane wali kaum ka hoon
kabhi harunga nahi....
wo rashta jo bheed ki taraf jaata hai...mera nahi hai...
main khona nahi chahta , uss taraf gaya to kho jaunga...
mushkil hi sahi sachchayi ka rasta ...koi saath de ya na de...
main ussi par chalunga....Akela hi sahi

1 टिप्पणी: