Sardi mein aaj chat par khusnuma dhoop mein baitha …Makki ke daane dekh raha tha jo kal main army canteen se lekar aaya tha..… …isse bazaar mein sweet corn ke naam se jante hain…iski keemat international market aur national market mein kaafi hai… vajah European country mein iski maang bahut hai… Thailand isska sabse adhik karobaar karta hai…bharat mein dheere dheere kishan iski kheti export ke liye karne lage hain… badi ajeeb si baat hai…bharat ke gaon mein iss makke ko pahle darze ka bhojan nahi maana jaata…. Isse gareebon ke ahaar ke roop mein liya jaata hai… bharat ke kisan ke ghar pahle darze ke anaajo mein genhu, chawal, daal ka sthaan hai… sabziyon mein aalu, pyaz, parwal, kat-hal, paneer … lekin tori..lauki, kaddu… palak , matar, sarso jaise paustik bhojan ko dusra darza mila hai… vaise hi ..makki , bazare… ko bhi kisano ne dusra darza diya hai…. Isse mota bhojan bhi kaha jaata hai..aur poorane zamane mein mazduron ko mazduri ke roop mein ye anaaz diya jaata tha… bade aur sampan ghar ke log ye nahi khaate the… lekin paustikta ke mamle mein ye pahle anajon se behtar hain…. European country mein ulta hai…vahan ye pahle dasrze ke bhojan mein shumaar hai..aur makka toh alag alag roopo mein roz ki zarurat ban gaya hai…. Ye saari jaankariyan mujhe bachppan mein garmi ki chhuttiyon mein milti thi jab main gaon jaata tha…iske alwa apne pita ki transferable job ke karan alag alag shahron mein rahne se milti thi…
makki ke daane dekh kar hazar swal mere dil mein aane lage ..mere saath aksar aisa hota hai…khaas kar jab main khet mein lahlahati fasal dekhta hoon… bazaar mein hari hari sabziyan dekhta hoon… ghar mein laayi huyi sabziyan aur anaaj dekhta hoon….unka tazapan jaise mere sapno ko par de deta hai… unko haathon se choota hoon toh lagta hai, apne sapno ko choo raha hoon… mujhe kheti karna bahut pasand hai… zindagi mein ek hi sapna tha…ki mere khoob khet hote ..main unn mein kheti karta aur khali waqt mein likhta… jo mann mein aata likhta… chapne ke liye nahi..na hi bechne ke liye… apne liye… haan agar.. logon tak pahunch jaaye to mujhe koi aapatti nahi… apne vaktitav mein main eek kisan aur lekhak dono ko bahut juda huya paaya hai..pata nahi duniya mein kahin aisa sangam hoga ki nahi…?.ho bhi sakta hai… jeevan ki aapa dhaapi mein iss sapne ko sakaar karne ki maine koshish ki, lekin amli zama nahi pahna paaya… haan lekhak zarur ban gaya… aur wo bhi bikau lekhak… iss raah par pragti bhi kar raha hoon…umeed hai kamyaab ho jaunga…lekin aaj phir makke ke daano ko choo kar ..aur apni chhat se bagal ke plot mein apne chote se garden mein tarah tarah ki sabziyon aur saagon ko dekh kar ek hook se uthi… hook aur badh gayi jab mere pita ke ek kisan dost k ghar mein mein aaye…. Bihar ke Brahmin parivar se ek sampan kisan hote huye bhi unhe paise kamane ke liye Bengal police ki naukri karni padi… ab retire hokar tiwar ji apne kheton mein jee bhar ke kaam karte hain..aur bahut khush hain… unhi ke gaon se kuch kosh door mera gaon bhi hai…jahan mere tauji rahte hain… humare bhi khoob khet hain..baag bageeche hain… lekin tauji ke budhdhe hone ke baad ab koi kheti nahi karta… mere pita army se retire hokar Delhi mein bas gaye… ek aur tauji Nepal mein , jo ab iss duniya mein nahi hain… lekin jab main chota tha… toh dekhta tha.. chote tauji aur mere pitaji dono fasal bone ke maukon par chhutiyan lekar gaon jaate the…vahan bade tauji ki madad karte the… aur fasal bone ke baad vapas duty par aa jaate the… baaki bade tauji sambhal lete the… phir garmi ki chuttiyon ya sardi mein hum jab gaon jaate the..toh main jaise diwana ho jaata tha… apne kheton..bageechon..ko dekhkar… apne duar par bandhe bailon ..gayon..aur bhainso ko dekhkar…bawla ho jaata tha… din bhar kheton mein..bageechon mein… aur subah sham gaay aur bhainson ke bachchon ko chara dalta tha..unhe teeno waqt paani pilata tha… unn se jaisa mera janmo janam ka rista ho..meri unn se badi dosti ho jaati thi..shahar aate waqt main unko bahut miss karta tha… vahan ke log mujhe khet mein jaane…ped lagane..chaara dalne se rokte the… kahte the..tum shahar ke rahne wale ho sukumaar ho..tumse nahi hoga… lekin mujhe sab sahaj mein karte dekh kar unhe bahut khushi hoti thi… main ek kisaan aur ek fauzi ka beta hoon… Delhi mein ek nariana gaon hai..jahan ek dost ke saath main gaya aur vahan pahadi par doodh nikalte doodhwale ko bikhre gobar ko pade dekh kar apne bête ko gaali dete huye suna… wo kah raha tha… ki gobar uthane mein sharam aati hai..usse… chaara daal nahi sakta… mere dil mein ek dard sa mahsoos huya aur ek kavita kahiye ya jab mann mein aaaye…ban gayi…
Kisan ka beta jab perfume laga ke itraayega…
Gobar choone se ghabraayega.. to pralay nahi to aur kya aayega…
Main apni tareef nahi karta , lekin jitna main filmi hastiyon ki badi party mein apne aapko suit-boot mein sahaj mahsoos karta hoon, utna hi apne kheton mein kichad se sane haathon mein .. aaj shayad mere jaise ek kisan ko iss desh hi nahi duniya ko bhi zarurat hai… jiske paas gyan hai.. khet hain… wo modern hai aur zameen se juda kisan bhi.. lekin vidmbna dekhiye ki main chahte huye bhi kheton se door hoon… iss doori ki vajah talashne ki maine bahut koshish ki… aur iss kram mein aaj tiwari ji(mere pita ke dost) se baat cheet aage badha kar ki… shuruaat mahngayi se huyi…mahngayi hum sab ke liye sabse badi musibat ban ke aayi hai… aur iss bare mein kisan se behtar aur kaun bata sakta hai… tiwariji ne mere haath mein makka dekha toh pooch baithe…ki ye abhi kahan se aaya… ? maine kaha ..ab ye saalon bhar milta hai… fir wo deshi makkka aur videshi makka kab aur kaise lagte hain batane lage… unhone iski kieemat pooch aur maine kaha ki 60 rupye kilo..toh unhe vishvash hi nahi huya… bole kya baat karte ho…maine kaha..sir.. ye videshon mein aur bhi mahnga hai… wo bole toh kya hum isse uga kar bahar nahi bhej sakte..maine kaha kyun nahi..lekin uske liye aapko iski poori jankari honi chahiye..aur sarkar ke paas iski jankaari bhi hai…mantralay bhi hain..jo khaas kar issi ke liye kaam kar rahe hain… iss baat par wo bigad gaye… bole to aazadi ke saath saal tak mere jaise kisaan tak kyun nahi pahunch paaye.. agar pahunch jaate toh bahut se kisaanon ko dukh door ho jaata…iss makke ko gaon mein poochta kaun hai.. aur ab pata chala iski kimat kya hai..baap re baap..… mujhe mere sawalon ke javab milne lage… maine baat ko dusri taraf moda.. aur poocha arhar ki daal abki baar boyi hai ki nahi…. Bole boyi hai…lekin koi faida nahi… fasal khadi ho jaati hai…phool lag jaate hain lekin daal nahi ho rahi hai… poocha kyun? Kahne lage..hawa paani ka asar hai… toh maine kaha , ki beez badaliye.. bole..beez mein koi problem nahi hai… problem hai… hawa paani ka… kitnashak chidkna padta hai… pahle jankari nahi thi ..ab mili hai… toh kar rahe hain..lekin peechle saal jin kisano ko nuksaan huya ..unhone iss saal daal boyi hi nahi… unn mein himmat nahi hai…nuksaan sahne ki…phir kya gurantee hai..kitnashak dalne ke baad bhi fasal ho jaayegi… sarkaar kuch karti nahi hai… file banati hai.. media halla karti hai… koi kisan aur khet tak nahi pahunchta… bole..ab kheti mahngi ho gayi hai… aaj kal ke ladkon mein mehantat karne ki lagan nahi hai…sharir se toh kamzor hain hi…mann se bhi nirbal ho gaye hain…kyunki hum khud kheti ki haalat dekh kar apne bachchon ko kheti se door kar rahe hain…maine poocha aap toh kheti kar ke bahut khush hain… bole ..haan… lekin uski vajah hai… mere paas paise hain…suvidhyaen hain…main sirf kheti par nirbhar nahi hoon… paise ki chinta mujhe nahi hai…aur sabse badi baat main khud apne haathon se majduron ki kam se kam madad lekar kheti karta hoon..toh mujhe faida hota hai..aur mujhe ye kaam achcha lagta hai… majdoor bhi aajkal badi samsyaa bane huye hain… aajkal majdoor milte nahi hain..aur milte hain toh pahle ke majduron jaise lagan se kaam nahi karte… fir door daraz ke ilaakon mein hone ki vajah se hum pragti karte sansar ki mukhyadhara se kate huye rahte hain…humari sudh koi nahi leta… humse sirf ye desh vote leta hai… aur vayda deta hai…hum ek party ke neta se tang aakar use badalte hain..toh dusri party ka choon lete hain…fir tisri ka..lekin humari haalat koi nahi sudharta… hum apne bachchon ko shahar bhej rahe hain…kisan ki bahut si paresaniyon se unhone mujhe vakif karaya…lekin har baat mein kahin na kahin umeed ki kiran dikhti hai..isliye abhi bhi lagta hai..der nahi huyi hai…kuch kiya gaya toh kisan ke saath saath humare liye bhi achcha hoga…. Mere saath bhi kuch aisa hi hain… shahar mein paida huya… achchi talim li… mere pita ka kheti se lagaw hote huye bhi unhone mujhe kabhi iss kaam ke liye protsahit nahi kiya..kyunki tiwari ji ki tarah wo shayad jaante the..ki zmeeni haqiqat kya hai…khair mere andar jo sahaj aakarshan hai kheti aur likhne ke prati usse koi rok to sakta nahi… aur jab zindagi ka faisla aap khud karne lag jaayen toh har kamyabi aur nakamyabi ke zimedaar bhi aap hi hote hain… main jiss mahol mein pala badha …wo ek alag duniya hai.. aur jis duniya mein main jaana chahta hoon wo alag duniya hai… lekin agar ye dono duniya mil jaayen..toh main dava kar sakta hoon , ki duniya bahut khoobsurat ho sakti hai… main delhi mein rahta hoon… Mumbai mein rahta hoon… jahan meri jaat ke mujhe na ke barabar log mile… haan mere andar ka hi ek kirdaar bilkul unn jaisa hai…jo unke jaisa dikhta hai… aaj ki baat karta hai… lekin main kheton se kyun door hoon… shayd kyunki mera gaon mujhse door hai… shayad main wo sab suvidhayen vahan chahta hoon ..jo mujhe yahan shahar mein milti hain… ya shayad apne sapno ko amli zama pahnane mein aane wali pareshaniyon ka hal mere paas nahi hai…kabhi sochta hoon… vahan ke saare khet bech kar ..agra ..haryana ke paas zameene le loon toh mere liye asaan hoga… lekin uss mitti se rista toot jayega…vahan ki mitti ka karz kaise ada karunga… main shayad vahan se nikal kar khush ho jaun ..lekin mere jaise hazaron kisaan ..meri kisi yozna ka laabh utha kar… khush ho sakte hain..lekin kab ..kaise ..pata nahi..meri yojnayen …abhi filon mein band hai… jab unn mein se nikalti hain… toh mere neende uda leti hain… lekin mere desh ka sarkari tantar …bade se bade sapno..aur junoon ka daman karne mein sakshjham hai… lekin main haar manne walo mein nahi hoon.. ek din ek lekhak aur kishan ka sangam hoga…. Aur fir duniya khoobsurat hogi…
jahan bhindi ko kalam banakar … karele ke ras ke rang se… bargad ke patton par likhunga main itihaas…
कोई टिप्पणी नहीं:
एक टिप्पणी भेजें