kisaan ki zamene rahi banjar , filon mein nahren banti rahi.
besahara takte rahe garib, basakhiyan kagzon mein bant-ti rahi.
yaad rahe zimedaar jab jab khamosh rahe atyaachar huya
dhritrastra ki sabha mein dropadi ki aabru loot-ti rahi
syaahi ki ek boond laakhon dilon mein inqlaab laati hai
yahi soch main likhta raha , raat bhar kalam chalti rahi
desh ka khoon ab bhi na khaula to wo din door nahi
mujhe to door door tak tarqi - khushaali dikhti nahi.
c@anand Rathore
कलम यूँ ही चलती रहे .... शुभकामनायें
जवाब देंहटाएं