gumsum hai in dino dil , vajah kya hai
tu nahi hai vajah fir vajah kya hai..?
dil mein koi lehar nahi fir kyun
dhadkano mein kasak ki vajah kya hai?
kahte ho kisamat mein nahi hai milna
tumse milte rahne ki fir vajah kya hai?
jeena marna , marna jeena agar yahi sach hai
iss aane jaane ki fir vajah kya hai ?
khoye din..jaagti shab ka sabab kya hai
meri kalam ,meri gazal ,mere hunar ki vajah kya hai.?
c@anand rathore
Khoobsoorati se alfazon ko bayan karne ki;
जवाब देंहटाएंVajah kya hai?
Khoye hue armaano ko fir tatolne ki;
Vajah kya hai?
Bahut khoob, the beauty of your poem is the simplicity of words! I just wrote another two lines.. hope you wont mind!
Cheers
Mugdha
thank you Mugdha... your added lines are beautiful ... welcome hai ji...
जवाब देंहटाएं.
जवाब देंहटाएंगुमसुम है दिल इन दिनों वज़ह क्या है
तू नहीं है वज़ह , फिर वज़ह क्या है
अच्छा लिखा है
आनंद राठौर जी
प्रयास करें ,
अब तो हिंदी में लिखना बहुत आसान है …
शुभकामनाओं सहित…
राजेन्द्र स्वर्णकार